Friday, February 8, 2013

Part Three - "Ek Lotey Ki Aatmkatha"

Kapil Sharma

Eskey baad mere upar se mano gandgi gujri, kisi ne meri taraf aankh uthakar bhi nahi dekha, haan kuch logon ne mere upar thuka zaroor, shukr hai ki koi paizaama upar karkey meree oopar laghushanka ka nivaaran karney nahi baitha kyuki, gaur se dekhengey to aapko pata chalega ki yeh desh ek vishaaltam mootri hai jismey log jab chahey, jahan chahey, paizamey ka paichan upar karkey baith jaatey hain, aur apni choti-badi sabhi samsyaon ka samadhaan kar lete hain.
Lekin yeh meri kahani ka ant nahi hai, kyunki, ek din shahar me jabardast safai abhiyaan chala, jismey poorey shahar ki jabardast safaai ki gayi, usi dauraan saubhagya se us naali ki bhi safai ki gayi, aur mujhey bhi mano gandgi ke saath us nali se nikaal liya gaya.
mujhey nikalney waaley ne fauran pahchaana ho aisa nahi lagta, kyunki kaafi din me sadak ke kinarey pada hua sukhta raha aur kisi ne mujh par koi dhyan hi nahi diya, phir jisney mujhey nikala tha, usi ne mujhey uthaya dhoya aur apney ghar le gaya,aur yahin se mere jeevan ka ek naya adhyaay shuru hua,
Mere naye maalik ka naam Naseeruddin ansaari tha......
Yahan se merey jeevan ka woh hissa shuru hota hai jisey me apney jeevan ka ujla hissa samajhta hoon, yun kahiye ki ye mera personal renaisa tha, nasruddin shahar ka safai karmchari tha, lekin woh sirf safai karmchari hi nahi tha, woh ek krantikari mazdoor union ka garjdaar neta bhi tha, mujhey to ashchary hota tha ki woh aadmi din me shahar ki naaliyan saaf karkey aata hai aur raat ko apney doston ke saath baith kar kisi lenin aur marx ki kitaab padhta tha, aur zordaar bahas karta tha.
wahin mujhey pahali baar class, dclass aur sangharsh ke asli karno ka pata chala, pata nahi apney marx ko padha hai ya nahi par mey to uskey baarey mei hi sun kar un par fida ho gaya, woh kya naara hai, duniya ke mazdooron ek ho, tumharey paas khoney ke liye sirf apni bediyan hain lekin paaney ke liye saari duniya hai. WAH, WAH, WAH maan gaye sar ji, maan gaye kamaal kar ditta, mei balihaari jaun, is ek naarey pe saara jeevan kurbaan. 
lekin baat mere  naye ghar ki aur uskey malik ki thi, to aam ghar tha bas yahan kitabein bahut zyada thi, jo bhi aata tha yaa to kuch padhta hua aata tha, yaa aa kar kuch paddhney lagta tha, ghar sabkey liye khula tha, koi raat ko 2 bajey aa raha hai, to koi subah 4 bajey chala aa raha hai, kisi ka koi thikana hi nahi tha, jiski marzi ho kichen me jaakar chai bana lata tha, aur sabsey badi baat ki wahan hasney waalon ki kami nahi thee, sabsey badi baat ki wahan sab aazad they, 
yahan ek baat bataana zaroori hai, yahan mujhey pahali baar yeh bhi pata chala ki aakhir merey kitni tarah ke istemaal ho saktey hain, logon ne mujhey chai peeney, chai banaaney se lekar daal sabzi banaaney tak mey istemaal kiya hai, aur aisa mey kisi naarazgi key saath nahi kah raha, asal me wahan ka mahaul hi aisa tha ki khud hi lagta tha ki kisi bhi tarah is ladai me shamil ho jao, kuch to karo, sach kahun mujheyapney is maalik se bhi pyar ho gaya tha, woh kahata tha, khuda agar kahin hai to is duniya ko usney nahi banaya ho sakta, yeh to kisi shaitaan ka kaam lagti hai, warna to duniya khubsurat, aur ujaas hoti, mazdoor ko uska poora haq milta, aur kisi ko bhi sataaya nahi jata........
Woh log ek doosrey ko comrade kahtey they, mujhey nahi pata ki iska kya matlab hota hai, lekin itna accha lagta tha ki agar aapki izzazat ho to mei bhi, sirf ek baar, apney naam ke aagey comrade laga loon, bada man kar raha hai, comrade lota, wah wah, maza aa gaya.
mainey us ghar me bahut kuch seekha, prem, dosti, sangharsh, imaandari aur woh saari cheezein jo insaan banney ke liye zaroori hoti hain, nasruddin ko bhi prem tha, katai azeeb kism ka prem tha, uski ek comrade aur woh ek doosrey ko pasand kartey they, lekin yeh azeeb kism ka isqu tha, lagta tha ki dono ek doosrey ko pasand kartey hain kekin phir dono ek doosrey se itni bahas kartey they ki taazub hota tha ki woh dono ek doosrey se prem kartey hain.Woh dono ek doosrey ke saath marney ki kasam nahi khatey they, balki saath saath jeeney ke mansubey banatey they. Bataiye aisey kisi aadmi se aapko pyar nahi ho jayga. mujhey un sabsy pyar ho gaya tha, com. gopi, com. naathu, com. utpal, com. priya, com. neeru, com. nazia, com. riaz.....kitney naam ginaun, un logon ne mujhey neechey se kaala kar diya tha, lekin ussey koi farq nahi padta tha, unhoney mujh par beinthaan kharochein laga di thi, lekin ussey bhi koi farq nahi padata. 
 Mujhey lagta tha ki merey jeevan ka maksad pura ho gaya hai aur me ab whain rahunga, (sigh) lekin aisa nahi tha. Useey maar diya, uskey comrade doston ne kaha ki woh shahid hua hai, lekin me kahata hun ki uski hatya hui, meiney apni aankhon se dekha, usey, din dahadey, badi berahami se goli maari gayi.
Aapko to yaad hoga, aap akhbaar padhtey hi hain, aapko yaad hoga kis tarah police ne kuch 'khunkhar' aatnakwadion ko muthbhed me maar giraya tha, jiskey liye police ko bakaayda medal bhi miley they, unhi khunkhaar aatankwadion me sey ek mera malik comrade nasruddin ansari bhi tha.

us din shanivaar tha, yeh mujhey isliye pata hai kyunki shanivaar ko com. nasru ki chutti rahati thi aur woh apney baki com. doston ke saath koi kitab padhkar us par bahas karey they, us din woh mao naam ke kisi shaks ki ktab padhney waaley they, teen log aa chukey they aur baaki aaney waaley they, mei gas ke paas baitha hua un logon ke jutney aur phir kitaab padhey jaaney ka intzaar kar raha tha.
com. naseem ne mujhey paani peeney ke liye istemaal kiya aur fir khidki par rakh diya, wahin se thodi der baad mujhey dikha ki kuch police waley chupkey se upar aa rahey hain. mujjhey daal mey kuch kaala laga, lekin un logon ki befikri dekh kar mei khamosh raha, phir mujhey dikha ki gali ke mod par ek jeep ruki dikhai di, usmey see jaldi-jaldi kuch police waaley utrey, 
na  jaaney kyun mere dil me ek dar laga aur mene jor se cheekna chaha, lekin meri cheekh mere galey me hi ghut kar rah gayi, ki ek goli aayi aur Com. naseem jo khidki ke tek laga ke kadey they unkey sir ke parkhachchey uda diye, mere andar paani tha jismey woh khoon mil gaya, aur phir mey khoon se sarabor ho gaya, fir to jaisey kayamat barpa ho gayi.
ek saath kai police waaley andar ghus aaye aur unhoney aav dekha na taav baki ke logon ko ek kataar me bithaya aur un par golion ki bauchar kar di, charon taraf se goliyan chal rahi thi, aur unhi me se ek goli ek police waaley ko bhi lag gayi. kuch police waaley usey lekar bhagey, aur woh jisey goli lagi thi unhey jee bhar ke gaaliyan de raha tha. police waalon ne kamarey me mauzood sabko maar diya tha,woh apney saathi ko utha kar wahan se le gaye, aur kuch lamhon ke liye wahan khoshi cha gayi, aur tab mainey woh manjar dekha jisey koi bhi dekhta to uskey rongtey khadey ho jaatey, woh log jo jinda-dili ki misaal they, laash ban kar padey they, bejaan, behis, jinkey thahaakon se poora ghar gunjta tha, woh chup they, khamosh they.
fir kuch police waaley fir se andar aaye aur fir shuru hua, kahani banaaney ka daur, mai wahin tha, mujhey bhi ek saboot ke taur par rakha gaya tha, mainey dekha, kaisey-kaisey jhooth rachey gaye, kaisey-kaisey kissey banaye gaye, woh log jo jeena chahtey they, unhey maut ka saudagar bataya gaya, woh log jo sabko pyar kartey the unhey kaatil karaar diya gaya, jo police waala khud apni hi golion ka shikaar bana tha, yeh kaha gaya ki woh to u 'ATANKWADION' ki goli ka shikaar hokar shaeed hua haii, aur me sabut bana khamosh, us dramey ke ek-ek bhayanak chehrey ko ujaagar hota dekhta raha.
fir mujhey maalkhaney me jama karwa diya gaya, maalkhana us jagah ko kahtey hain jaha poolicewaaley us saaman ko rakhtey hain jisey woh baad me bech dena chahein, jisey neta log kaudiyon ke bhaav kharid lein. lekin me ek adna sa lota, ek aatankwaadi ke khoon se sarabor lota, kaun mujhey leta, kaun mujhey chunta, aur me aisey hi pada raha, apney malik com. nasru ko yaad karkey, uski jindadili ko, himat ko, yaad karkey khoon ke aanso rota pada raha usi maalkhaney me. aur naa janey aisey hi kitney saal gujar gaye.
fir ek din ek police waaley ne hi wahan se mujhey bahar nikala, ek garib se thaney me hi mujhey dhulwaaya aur, thaney ke peechey baney apney quater me mujhey le aaya.
usney mujhey meri pahli malkin ki tarah bhagwaan ke kaam ke liye rakh choda tha, lekin usko kya pata tha me com. nasru ke saath rahkar mai naastik ho gaya tha, mujhey bhagwaan me koi vishwaas nahi rah gaya tha. lekin majboori me mai police waley ka kaam karta raha aur apni ziindgi ke din kaat-ta raha.


To be continued in Part Four....Police wale ke Hatho mein Lote Ki Kahani

No comments:

Post a Comment