Kapil Sharma
Us chor ne (jiska naam sitto tha, mujhey baad me pata chala) mujhey bahur se jholey mein se nikala aur apney pass rakhliya, pahaley to mujhey laga ki shayad woh mujhey chupa ke rakh lega. Lekin usey to paisey chahiye they, islier usney to mujhey fauran bech diya, woh ek choti se basti ki choti si dukan thi. Aur utna hi chota unlogon ka mol bahv tha.....dukaandar ne sitto se kaha, aur sitto kya maal le aaya, sitto bola, " arey lala motey walaa lota laaya hoon, jaldi se 40-50 nikal" aurr usney badi shaan se mujhey us dukaandar ke samney rakh diya. dukandar ne mujhey achchi tarah dekha parkha aur phi chup se tis rupey sitto ko diye, fir usney apni beti ko aawaz di, "REKHA" aur woh aayi, woh aayi to mere dil ki dhadkan ruk si gayi, usney mujhey uthaya, ghuma kar dekha, uskey baap ne usey fir andar jaaney ka ishara kiya, aur jo gaahak aa gaye they unhey sambhalney laga. Rekha mujhey apney saath andar le gayi, andar waley kamrey ki khidki ke paas, wahan khada tha sitto. "yeh tu laya hai" rekha ne pucha, "aur kya" sitto ne garv se kaha. "huh, tujhey kitni ber kaha hai koi bada haath maar warna tu aisey hi chindichori karta rahega aur mera baap mujhey kisi khsam ke haathon thama dega", "kya baat karti hai, kuch din ruk jaa, me sab intzaam kar lunga" "yeh soch lizo ki jab tak mujhey khub saarey paisey dikhai nahi dengey me kahin nahi jaaney ki" "par me tujhsey hi pyar karta hun" "haan haan, aur isi pyar ko tu abhi thekey pe botal mein daal kar piyega, dekh be, mere saath bhagnaa hai to intzaam kar, varna bhaag yahan se mujhey bahut kaam hai" "arey sun........." aur rekha ne khidki band kar di, pata nahi kyun par mey to us par fida ho gaya, tauba kasam kya ladki thi, aur aaney waley dino me to mujhey yakeen ho gaya ki ladki ho to aisi, kya kamaal ki ladki thi.
Main to kahta hoon ki agar ladkiyan aisi hi ho jayen
to is duniya ka agaa peecha sab kuch badal jayega. arey bhai kamal ki ladki
thi, beti thi to apni sharton par, premika thi to apni sharton par, tumhey
rahana hai raho, nahi rahana bhaad me jao, uska rang sanwla tha, safed daant,
aur chotey baal, jo usney apney baap se ladkar katwaye they, uskey haath
khurdurey they, aur mujhey uskey haathon ka sparsh bahut achcha lagta tha, jab
woh subsh-subah aata goothney ke liye mujhey istemaal karti thi to mujhmey ek
kism ki garmahat si aa jaati thi, main pura din shaam ke un lamhon ke baarey mein
sochtan tha jab woh aata goothegi, aur raat bhar subah ke un lamhon ke sapney
dekhta tha jab woh aata goothegi,
Wahin
rahtey huey mujhey uski aur sitto ki "bold lave story" ke baarey me
pata chala, unki baatcheet ke tukdon se mujhey pata chali yeh kahani aisi thi
ki aap bhi usy sun ke chowk padengey......
Unki
batcheet aur baap beti ke beech samay samay par chalney wali takraar se Rekha ki
jo kahani me jaan paya woh yeh thi ki rekha ki maa (jisy uska bap 'woh
badchalan' kahata tha) kisi ek waqt me, jahir hai rekha ko paida karney ke baad
mar gayi thi, aur uskey baap ne doosri shaadi nahi ki thi (mota, bhadda, surat
se hi nalayak lagta tha, soch ke ahraj hota tha ki uski pahali shaadi kaisey ho
gayi), rekha bina ma ke badi hui thi aur jaldi hi samajh gayi thi ki ladki ki
umra se koi farq nahi padta, koi bhi mard, chahey woh bahar ka ho ya
rishteydaar uska faydaa uthayega, agar mauka milega toh, lekin woh aisi ladki
nahi thi ki roti, chupti, yaa bhaag jati, bahut chotey mein hi usney yeh
strategy apna li ki agar koi rishteydaaar ya aur koi bhi uskey saaath, usey
sahlaney, puchkarney, ya pyar karney ke bahaney, haath chaalaki karney ki
koshish karta to woh apney paas ek lohey ki salai rakti thi jisey uski jaangh
me ghused deti aur phir jor se chillaney lagti, dhirey dhirey logon ne dar ke
marey uskey ghar aana hi band kar diya, ek uska baap tha, jo kisi bhi tarah
uski shadi karkey usey nikal dena chahta tha, lekin uskey iradey kuch alag
they, woh padi likhito nahi thi par paisey ginana jaanti thi, aur usney kuch
paisey jama kiye huey they, usy pata tha ki agar usey apney bharosey rahana hei
to uskey liye aamdani ka koi jaria talaashna hoga, ("yeh mera sochna tha"
iskey alawa usney socha hoga ki akeli ladki IS samaj me to surakshit rah nahi
sakti, isliye koi bhi , kaisa bhi, ek mard to chahiye, to uskey liye sitto tha)
uska plan yeh tha ki sitto kahin bada haath maarey, aur usko 2-2.5 lakh rupye
laakar de, aur woh kahin bhaag kar shaadi kar lein.
Aisi
hi kisi basti me jaakar woh apney baap ki tarah dukaan khol ley aur phir (woh)
sukh se rahey, kamaal ki baat yeh hai ki is sukh mein mainey kabhi, sitto ko
shamil nahi dekha, uska maanana tha ki ek baar sitto se shaadi ho jaye aur uski
dukan khul jaye to phir sitto jiye ya mar jaye usey koi farq nahi padta, aur
yeh theek bhi tha.
Es
saari equation me aapki middle class morality ko progreviness ki chataank bhar
chuski ke saath bada haath marna, ya chori karna akhra hoga, kamaal yeh hai ki
chori-cheena jhapti, in cheezon ko sabhi bura maantey hain, phir bhi agar koi
cheez bazar bhav se sasti mil jaye to morality ko bina koi takleef diye woh
cheez bejhijhak kharid li jaati hai, aapkey hi kai dost aapko chori ke camerey
(digital) ya mobile phone ke safeistemaal ke tarikey batatey mil jayenge aur
tab hamey koi farq nahi padta, lekin 'rekha ne aisa socha' yeh aapki moral
tabiyat par thoda garaan guzra hoga.
Khair
mujhey kya, mera to yeh kahana hai ki main to us ladki par clean bold out tha,
woh apni zindgi apney haath mein lene ke liye kuch bhi karti mujhey usmey katai
koi eitraaz nahi hota, ratti bhar bhi nahi.
Aur
aakhir ek din sitto badi besabri se aakar khidki ke neechey khada ho gaya,
rekha ne jab khidki kholi, to mujhey uska chehra dekhtey hi pata chal gaya ki
usney bada haath maar liya hai, usney phusphusaatey huey rekha ko bataya ki
uskey paas 1.5 lakh rupiya hai, rekha ne usey kaha ki woh market jaa rahi hai
aur woh usey, badey pipe ke paas miley (yahan aapko yeh yaad rakhna hoga, ki
mei jabsey is ghar me aaya tha, baahar nahi nikla tha, aur isliye mujhey nahi
pata kia yeh bada pipe kya tha, ya kahan tha, par mujhey andaaza ho gaya tha ki
yeh koi aisi jagah hogi, jahan koi aata jaata na ho) thodi der baad woh ghar se
nikli aur kai patli galiyon se hoti hui basti ke baahar ki taraf chal di,
mujhey usney kya kahkar apney saath rakha tha mujhey nahi pata, bada pipe asal me paani ka woh pipe tha
jisesey badi coloniyon ko paani pahuchaya jaata tha.
Sitto
wahin baitha cigarette fhoonk raha tha, woh uth gaya , rekha uskey paas pahunchi
tousney ek bag khola aur usme se ek sau ki aur ek pachaas ki gaddi nikali, aur
ek soney ki chain nikali, rekhan ne paisey lekar apney jholey me daal liye,
lekin jab usney chain ke liye haath badhaya to sitto ne kaha, "me pahana
dun" ek baar to laga rekha usy mana kar degi, lekin kuch soch kar usney
haan kar di, sitto ne apney panjon par uchak kar usey woh chain pahana di,
lekin fir uska chra pakad liy aur usey chumney laga, rekha ne usy roka nahi, thodi
der tak woh apney panjon ke upar khada hua rekha ko chumta raha, phir uski sans
chad gayi,sayad thak gaya tha, usney dono haathon se pakad kar rekha ko neechey
ki taraf kheencha aur apna ek haath uski girahbaan me daal diya, rekha ne thodi
der iska bhi koi virodh nahi kiya, balki yun kahen ki iska koi notice hi nahi
liya, lekin fir uska haath jhatak diya aur boli, "aaj hi nikalana hai,
raat 11 bajey, jab mera baap dukan band karkey so jata hai, tab me niklungi,
mujhey parli taraf, mil jaiyo, samjha" "huh.....haan....11
bajey......thodi der ruk na....." "......aaj raat ke baad tere saath
hi rukna hai, hai na, phir............"
Jab
rekha ghar wapas aa rahi thi to me yeh soch raha tha, ki main jo us ladki parr
clean bold hun, kya mujhey jalan nahi hui, jawab to mere paas hai, nahi hui,
lekin yeh nahi pata ki kyun, ho sakta hai hum loton ki jaat me jalan hoti hi na
ho, ya yeh bhi ho sakta hai ki mujhey laga ho, laga ho kya, mujhey pata ho, ki
rekha ne jo kiya woh ek plan ke tahat tha, mujhey to is baat ki khushi thi ki
woh mujhey apney saath le jaaney wali thi us raaat.
Us
raat jab uska baap dukan band karkey ghr me aakar late gaya to woh uthi aur
usney apna kapdey waala jhola utha liya, me dar raha tha ki kahin mujhey le
jaana na bhool jaye, aur aakhirkar usney mujhey utha kar apney jholey me daal
liya. Main us din itna khush hua tha ki aaj tak utna khush nahi hua, ki ab sey
woh ek azaad mahila hogi aur me us azaad mahila ka lota hounga.
Usney
mujhey utha liya aur apney jholey me daal liya, mere alaawa uskey jholey me the
kuch kapdey, sitto waley paisey, uskey baap ne jo zewar banwaye they, woh usney
utha liye, ki woh to usi ke they, aur sabsye upar usney mujhey rkh lia. aur
hum, yani me aur rekha har se niley aur railway station ki taraf chal padey, ab
woh kya sapney dekhti, mei hi sapney dekh raha tha, (ab to yakin kar hi lijiye
ki lotey ko bhi sapney aatey hi hain) mere sapno me bhavishya ke woh din aa
rahey they ki kaisey, rekha mujhey badey pyar se utha kar meri madad se aata gunth
rahi thi, yaa woh mujhmey paani pee rahi hai. aaaahaaa kya sapney they, wah
wah, lekin achaanak hi mujhey laga ki me hawah me ud raha hoon, sapney dekhtey
huey koi bhi awa me ud sakta hai, aap bhi kabhi na kabhi hawa me udey hongey,
aur aap se kisi ne kaha hoga ki, zyada hawa me mat udo.
Lekin
woh anubhav kuch aur hi tha, mera man hi nahi shareer bhi udta hua lag raha
tha. aapko to kabhi sapney me udtey huey kahi aisa anubhav nahi hua hoga,kyun?
mujhey laga kuch gadbad hai, GADBAD, to mainey apney sapney ko pause jiya, aur
badi mehnat karkey aankh (ab tak aapney kalpana kar li hogi ki lotry ki aankh
kahan hoti hogi) kholi, too mainey dekha ki mei sach me hawa me ud raha hoon,
jaaney kya hua tha, lekin meri aankhon ke aagey se mera sapna auto me baitha hua
sadak par teji se dauda jaa raha tha, aur me aisa shock hua ki mere to muh se
aawaj nahi nikli, aur me sadak se jaa takraya, tab me bahut cheekha-chillaya,
bahut tadpa chatpataya, lekin kuch kar nahi paaya.......... aur lagta hai rekha
ne meri aawaz bhi nahi suni, kyunki naa to scooter ruka aur na hi koi mujhey
uthaney aaya.............., aur aapko yaad hoga ki mere pair to they hi nahi ki
mei khud bhagkar auto ko pakad pata.
Main
ludhkta hua kinarey bani hui gandi naali me jaa gira, aur wahin pada-pada apney
haalat par aansoo bahata raha....
No comments:
Post a Comment